Aasan Nahi Ek Fauji Ki Biwi Hona
Ankho Mein Nami Liye, Takiye Par Akele Sona
Ghar Aur Bahar Keh Tane
Sunleti Thi Voh…
Par Bacho Keh Samne
Haste Hi Rehti Thi Voh…
Takti Thi Khidkiyo Seh Raah
Dakiya Ke Aane Jaane Ka….
Usko Bas Intezaar Rehta Tha
Papa Keh Ghar Aneka…
Radio Seh Gaane Sunkar
Papa Koh Yaad Karleti Thi Voh
Hath Main Tasweer Liye
Unki Lambi Umar Ki, Dua Karleti Thi Voh
Uski Har Tyohaar Phiki Lagti Thi
Papa Keh Ghar Aneseh
Uskeh Chehre Par
“Holi” Aur “Diwali” Dikhti Thi
Jisne Apne Maike Mai
Kabhi Khana Nahi Banaya Tha
Usine Akele Apne Kandho Par
Bacho Ka Bhavishya Banaya Tha
Aasan Nahi Ek Fauji Ki,
Biwi Hona…
Ankho Mein Nami Liye Takiye Par,
Akele Sona…
